اردو हिंदी
Bashar ki zat mein shar ke siwa kuchh aur nahin | Shaahi Shayari
bashar ki zat mein shar ke siwa kuchh aur nahin

Ghazal

Bashar ki zat mein shar ke siwa kuchh aur nahin

Fazil Ansari

;

bashar ki zat mein shar ke siwa kuchh aur nahin
ye baat naqs-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin

hayat ki shab-e-tarik KHatm hoti hai
qaza tulu-e-sahar ke siwa kuchh aur nahin

jo dekhiye to kaf-e-gul-farosh bhi hai hayat
ghalat ki daman-e-tar ke siwa kuchh aur nahin

guzar ke had se har ek shai bar-aks hoti hai
kamal-e-aib-e-hunar ke siwa kuchh aur nahin

ye rang jo nazar aata hai chehra-e-gul par
hamare KHun-e-jigar ke siwa kuchh aur nahin

bashar hai jauhar-e-kirdar se garan-maya
guhar mein aab-e-guhar ke siwa kuchh aur nahin

nazar-fareb nazare jahan ke ai 'fazil'
fareb-e-husn-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin