اردو हिंदी
Bashaarat ho ki ab mujh sa koi pagal na aaega | Shaahi Shayari
bashaarat ho ki ab mujh sa koi pagal na aaega

Ghazal

Bashaarat ho ki ab mujh sa koi pagal na aaega

Anwar Shuoor

;

bashaarat ho ki ab mujh sa koi pagal na aaega
ye daur-e-aKHir-e-diwangi hai bit jaega

kisi ki zindagi zaea na hogi ab mohabbat mein
koi dhoka na dega ab koi dhoka na khaega

na ab utrega qudsi koi insanon ki basti par
na ab jangal mein charwaha koi bheDen charaega

giroh-e-ibn-e-adam lakh bhaTke lakh sar paTke
ab is andar se koi rasta bahar na jaega

bashar ko dekh kar be-intiha afsos aata hai
na malum is KHarabaati ko kis din hosh aaega

miTa bhi de mujhe ab ai musawwir! ta-ba-kai aaKHir
banega bigaDega bigaDega banega

mohabbat bhi kahin ai dost! tardidon se chhupti hai
kise qael karega tu kise bawar karaega

ghanimat jaan agar do bol bhi kanon mein paD jaen
ki phir ye bolne wala na roega na gaega

'shuur' aaKHir use hum se ziyaada jaante ho tum?
bahut sidha sahi lekin tumhein to bech khaega