bas ek shua-e-nur se saya simaT gaya
wo pas aa raha tha ki main dur haT gaya
phir darmiyan-e-aql-o-junun jang chhiD gai
phir majma-e-KHawaas girohon mein baT gaya
kya ab bhi teri KHatir-e-nazuk pe bar hun
patthar nahin ki main tere raste se haT gaya
ya itna saKHt-jaan ki talwar be-asar
ya itna narm-dil ki rag-e-gul se kaT gaya
wo lamha-e-shuur jise jaan-kani kahen
chehre se zindagi ki naqaben ulaT gaya
ab kaun jae ku-e-malamat se lauT kar
qadmon se aa ke apna hi saya lipaT gaya
aaKHir 'shakeb' KHu-e-sitam us ne chhoD di
zauq-e-safar ko dekh ke sahra simaT gaya
Ghazal
Bas ek shua-e-nur se saya simaT gaya
Shakeb Jalali