bas ek wahm satata hai bar bar mujhe 
dikhai deta hai patthar ke aar-par mujhe 
mera KHuda hai to mujh mein utar de mujh ko 
ki ek umr se apna hai intizar mujhe 
main lafz lafz bikharta raha fazaon mein 
meri sada se wo karta raha shikar mujhe 
jo Dhaal dete hain parchhaiyon ko patthar mein 
ab aise saKHt-dilon mein na kar shumar mujhe 
hawa kuchh aisi chali KHun ko nishan na mila 
ghubar-e-rah ko takta hun main ghubar mujhe 
hisar-e-marg mein ghuT jaegi sada teri 
tu dur hai to zara der tak pukar mujhe
        Ghazal
Bas ek wahm satata hai bar bar mujhe
Shamim Hanafi

