bas ek mah-e-junun-KHez ki ziya ke siwa
nagar mein kuchh nahin baqi raha hawa ke siwa
hai ek aur bhi surat kahin meri hi tarah
ek aur shahr bhi hai qarya-e-sada ke siwa
ek aur samt bhi hai us se ja ke milne ki
nishan aur bhi hai ek nishan-e-pa ke siwa
zawal-e-asr hai kufe mein aur gadagar hain
khula nahin koi dar bab-e-iltija ke siwa
makan-e-zar lab-e-goya had-e-sipahr-o-zamin
dikhai deta hai sab kuchh yahan KHuda ke siwa
meri hi KHwahishen bais hain mere gham ki 'munir'
azab mujh pe nahin harf-e-muddaa ke siwa
Ghazal
Bas ek mah-e-junun-KHez ki ziya ke siwa
Muneer Niyazi