bas ek hijr ke mausam ka rang gahra tha
har ek rut ko chakha tha barat ke dekha tha
us ek lamhe mein kitni qayamaten TuTin
bas ek lamhe ko tere asar se nikla tha
koi charagh bhi raKHt-e-safar mein rakh lete
safar mein raat bhi aaegi ye na socha tha
KHud apne-ap ko chhune ka hausla na raha
ki mere jism pe mera hi KHun phaila tha
wo aaj mujh se mila hai to kitna banjar hai
jo apni aankh mein sawan ke rang rakhta tha
na us ki chhanw thi meri na phul the mere
shajar tha sehn mein apne magar paraya tha
wo sahilon pe paDa ab KHala ko takta hai
jo paniyon mein utarta tha sip chunta tha
aTa hai dhul se kamra hai taq bhi suna
kabhi gulab saje the charagh jalta tha

Ghazal
Bas ek hijr ke mausam ka rang gahra tha
Qayyum Tahir