bas ek bar uThen samna hi kar Dalen
wabaal-e-jaan hai Dar KHatma hi kar Dalen
qubuliyat ko suna hai ki zid dua se hai
to kyun na aisa karen bad-dua hi kar Dalen
khisakte lamhon se ye zindagi ne puchh liya
haqir hum hain ki tum faisla hi kar Dalen
nishat-o-kaif ke saman an-qarib kahan
ab iKHtisar-e-saf-e-maddua hi kar Dalen
irada kar jo liya tark-e-KHud-kalami ka
to yaad-e-mazi ka gham maktiba hi kar Dalen
'asar' zaban ko dushwariyan bhi hain lahiq
so ehtimam koi dusra hi kar Dalen

Ghazal
Bas ek bar uThen samna hi kar Dalen
Marghoob Asar Fatmi