bas ai falak nashat-e-dil ka intiqam ho chuka
hansa tha jis qadar kabhi ziyaada us se ro chuka
na zikr-e-imbisat kar ki daur-e-aish ho chuka
KHushi ki fikr kis liye wo dil kahan jo kho chuka
ye KHanda-e-tarab-numa mubarak ahl-e-dahr ko
bahut zamana ho gaya ki main hansi ko ro chuka
wafa jo zindagi mein thi wahi hai baad-e-marg bhi
ye imtihan rah gaya wo imtihan ho chuka
na dam le ai sarishk-e-gham tujhe qasam hai ishq ki
falak ko chhoDta hai kyun agar mujhe Dubo chuka
rahe wo dil mein muddaton magar sambhal saka na main
mizaj-e-husn-o-ishq ko bahut dinon samo chuka
ye aashiyana-e-sitam chaman mein ho to KHub hai
ye ji mein hai ki le uDun qafas tu mera ho chuka
KHabar nahin ye jagna hai zist tak ki baad bhi
jo sath dil raha yahi to main lahad mein so chuka
nikal ke rah-e-ishq se kisi taraf chalun to kya
kahan se laun jaan o dil ye de chuka wo kho chuka
ye tu nahin ki wada-e-wafa ko raundta phire
ye main hun sarfarosh-e-dil jo kah diya wo ho chuka
ye 'saqib' ek silk hai KHazana-ha-e-raaz ki
guhar wo shahwar hain jinhen main yun piro chuka
Ghazal
Bas ai falak nashat-e-dil ka intiqam ho chuka
Saqib Lakhnavi