اردو हिंदी
Barson se hun main zamzama-pardaz-e-mohabbat | Shaahi Shayari
barson se hun main zamzama-pardaz-e-mohabbat

Ghazal

Barson se hun main zamzama-pardaz-e-mohabbat

Mela Ram Wafa

;

barson se hun main zamzama-pardaz-e-mohabbat
aai na jawaban kabhi aawaz-e-mohabbat

ek dard mohabbat hai meri har rag-o-pai mein
har sans hai ab mera ek aawaz-e-mohabbat

har-chand ki har bazm mein Thukrai gai hai
aawaz-e-mohabbat hai phir aawaza-e-mohabbat

mamur hain aawaz-e-mohabbat se fazaen
mastur hai go sahib-e-awaz-e-mohabbat

aa jae zara sina-e-afaq mein garmi
ho jae zara shoala-zan aawaz-e-mohabbat

ye daur hai daur-e-hawas is daur mein ai dil
sunta nahin dil se koi aawaz-e-mohabbat

jis shaKHs ke sine mein hai dil ki jagah patthar
samjhega wo kya mani-e-awaz-e-mohabbat

is daur-e-tag-o-dau mein wafa kaun sunega
kitni hi dil-awez ho aawaz-e-mohabbat