barhaman mujh ko banana na musalman karna
mere saqi mujhe mast-e-mai-e-irfan karna
dagh-e-dil sine mein aahon se numayan karna
hum se sikhe shab-e-gham koi charaghan karna
haram o dair mein ja ja ke charaghan karna
justuju teri hamein ta-had-e-imkan karna
dil ke bahlane ka wahshat mein ye saman karna
chashm-e-KHun-bar se daman ko gulistan karna
hawas-e-sair-e-gulistan ne qafas dikhlaya
ab asiro na kabhi qasd-e-gulistan karna
ahl-e-be-dad ke jab nam pukare jaen
tum na ghabra ke sar-e-hashr kahin han karna
na kabhi main ne kaha tha ki mujhe dard mile
na kahunga ki mere dard ka darman karna
un ke diwanon ko sar phoD ke diwaron se
aaj manzur hai aaraish-e-zindan karna
shaiKH ko kaba mubarak ho barahman ko kunisht
hum ko sajda taraf-e-kucha-e-jaanan karna
ai saba tujh ko usi zulf-e-pareshan ki qasam
mera shiraaza-e-hasti bhi pareshan karna
un ke diwanon ki eajaz-nigahi dekho
aankh uThana ki gulistan ko bayaban karna
dagh-e-dil parde mein rah jae na ai dast-e-junun
chaak kuchh aur abhi mera gareban karna
la ke phir misr mein ai ishq kisi yusuf ko
phir nae rang se aaraish-e-zindan karna
dasht-e-ghurbat mein tere KHak-nashin achchhe hain
chahiye aur inhen be-sar-o-saman karna
zauq-e-sajda tujhe sang-e-dar-e-jaanan ki qasam
hosh ka mujh ko na sharminda-e-ehsan karna
uTh rahe hain mere nazron se dui ke parde
kuchh madad aur KHayal-e-ruKH-e-jaanan karna
ban gae hairat-e-nazzara ki surat 'bedam'
ras aaya na hamein did ka arman karna
Ghazal
Barhaman mujhko banana na musalman karna
Bedam Shah Warsi