barbaad na kar us ko zara hath pe dhar la
ai baad-e-saba KHak-e-dar-e-yar idhar la
sayyaad se kya fikr hai ai tair-e-mazmun
kaghaz ke tujhe par bhi lagen kaam to kar la
le ja dil-e-betab nishani meri qasid
simab se hai martaba-e-ishq KHabar la
ye kan hain mushtaq-e-KHabar qasid-e-jaanan
aankhon ko bhi didar hai manzur-e-nazar la
hasrat hai kahin hasrat-e-dil us ki nikale
is 'aKHtar'-e-ghamgin ke liye dida-e-tar la
Ghazal
Barbaad na kar usko zara hath pe dhar la
Wajid Ali Shah Akhtar