baras kar khul gaya abr-e-KHizan aahista aahista
hawa mein sans lete hain makan aahista aahista
bahut arsa laga rang-e-shafaq madum hone mein
hua tarik nila aasman aahista aahista
kahin patton ke andar dhimi dhimi sarsarahaT hai
abhi hilne lagengi Daliyan aahista aahista
jahan Dale the us ne dhup mein kapDe sukhane ko
Tapakti hain abhi tak rassiyan aahista aahista
samaat mein abhi tak aahaTon ke phul khilte hain
koi chalta hai dil ke darmiyan aahista aahista
badal jaega mausam dard ki shaKH-e-barahana mein
nikalti aa rahi hain pattiyan aahista aahista
Ghazal
Baras kar khul gaya abr-e-KHizan aahista aahista
Ahmad Mushtaq