barae nam sahi hasil-e-talab Thahra
wo ek lamha jo sarmaya-e-tarab Thahra
khule saron pe ghani chhanw le ke aaya tha
hamare pas wo abr-e-rawan bhi kab Thahra
naqib-e-amn raha main mahaz-e-jang pe bhi
yahi usul meri fatah ka sabab Thahra
kiya tha jis ko kabhi tere nam se mansub
wahi sahifa to sarmaya-e-adab Thahra
wahi mere liye wajh-e-nashat-e-ruh tha 'naz'
wo ek tabassum-e-rangin jo zer-e-lab Thahra
Ghazal
Barae nam sahi hasil-e-talab Thahra
Naz Quadri