bar-sar-e-dard zamane ka bhi socha jae
phir naya qarz uThane ka bhi socha jae
samne chand hai par aur koi chaara nahin
chashm-e-namnak churane ka bhi socha jae
hiddat-e-husn-e-nazar se bhi bacha kar KHud ko
ishq mein risk uThane ka bhi socha jae
KHwab se lipTi hue yaad ke sada lamho
dard ke hath na aane ka bhi socha jae
ishq to yar adaon ko nigal jata hai
husn-e-bebak bachane ka bhi socha jae
cigareten phunk ke kuchh jam chaDha kar jaanan
kuchh tera hijr manane ka bhi socha jae

Ghazal
Bar-sar-e-dard zamane ka bhi socha jae
Saim Ji