bar-sar-e-baad hua apna Thikana sar-e-rah
kaam aaya mera aawaz lagana sar-e-rah
dosto fart-e-junun rah badalta hai meri
kis ne chaha tha tumhein chhoD ke jaana sar-e-rah
dil mulaqat ka KHwahan ho to KHak uDti hai
bach ke chalta hun to milta hai zamana sar-e-rah
ye jo miTTi tan-e-baqi ki liye phirta hun
chhoD jaunga kahin ye bhi KHazana sar-e-rah
tum kisi sang pe ab sar ko Tika kar so jao
kaun sunta hai shab-e-gham ka fasana sar-e-rah
rah-e-duniya mein Thaharna to nahin tha dil ko
mil gaya hoga koi KHwab purana sar-e-rah
Ghazal
Bar-sar-e-baad hua apna Thikana sar-e-rah
Ali Iftikhar Jafri