اردو हिंदी
Banti hai sanwarti hai bikhar jati hai duniya | Shaahi Shayari
banti hai sanwarti hai bikhar jati hai duniya

Ghazal

Banti hai sanwarti hai bikhar jati hai duniya

Iftikhar Bukhari

;

banti hai sanwarti hai bikhar jati hai duniya
uDti hui miTTi si guzar jati hai duniya

hote hain sabhi KHauf-zada chand-gahan se
KHud apne hi sae se bhi Dar jati hai duniya

aawaz koi deta hai sadiyon ke safar se
ek pal ke liye jaise Thahar jati hai duniya

shayad yahi umron ki mashaqqat ka samar hai
bahon mein thakan ban ke utar jati hai duniya

aati hai koi yaad kabhi chand pahan kar
aankhon mein kisi sham nikhar jati hai duniya