band-e-gham mushkil se mushkil-tar khula
hum se jab koi pari-paikar khula
mil gai wahshi ko sauda se najat
dar khula diwar mein ya sar khula
jaan-sitani ke nae andaz hain
hath mein ghamze ke hai KHanjar khula
meri wahshat ne nikale jab se panw
ek sahra sahn ke andar khula
dekhne mein wo nigah-e-lutf thi
kis se puchhen zaKHm-e-dil kyunkar khula
koi jada hai na manzil hai koi
sab fareb-e-rahi-o-rahbar khula
hai qayamat us ki mizhgan ka KHayal
rakh diya hai dil mein ek nashtar khula
ye zuleKHai! ki yusuf ke liye
misr ka bazar hai ghar ghar khula
nau-umidi se bandhi 'tabish' umid
abr-e-gham dil par bahut ghir kar khula
Ghazal
Band-e-gham mushkil se mushkil-tar khula
Tabish Dehlvi