banaya hai shahkar yun tere gham ne 
bahut dad pai sar-e-bazm hum ne 
hamein kya mila aaj jannat mein aa kar 
hamein kya diya tha guzishta janam ne 
sitam ho agar saf kah den ye sab ko 
hamein mar Dala kisi ke karam ne 
kahen gar to badnam bhi KHud hi honge 
diya hum ko dhoka hamare sanam ne 
main samjha safar us ki jaanib hai mera 
kiya dur us se mujhe har qadam ne
        Ghazal
Banaya hai shahkar yun tere gham ne
Syed Sagheer Safi

