اردو हिंदी
Bana hai apne aalam mein wo kuchh aalam jawani ka | Shaahi Shayari
bana hai apne aalam mein wo kuchh aalam jawani ka

Ghazal

Bana hai apne aalam mein wo kuchh aalam jawani ka

Nazeer Akbarabadi

;

bana hai apne aalam mein wo kuchh aalam jawani ka
ki umr-e-KHizr se behtar hai ek ek dam jawani ka

nahin buDhon ki daDhi par miyan ye rang wasme ka
kiya hai un ke ek ek baal ne matam jawani ka

ye buDhe go ki apne munh se shaiKHi mein nahin kahte
bhara hai aah par in sab ke dil mein gham jawani ka

ye piran-e-jahan is waste rote hain ab har dam
ki kya kya in ka hangama hua barham jawani ka

kisi ki piTh kubDi ko bhala KHatir mein kya lawe
akaD mein naujawani ke jo mare dam jawani ka

sharab o gul-badan saqi maze aish-o-tarab har-dam
bahaar-e-zindagi kahiye to hai mausam jawani ka

'nazir' ab hum uDate hain maze kya kya aha-ha-ha
banaya hai ajab allah ne aalam jawani ka