اردو हिंदी
Bala-kash-e-gham-e-geti hai jaan-e-zar abhi | Shaahi Shayari
bala-kash-e-gham-e-geti hai jaan-e-zar abhi

Ghazal

Bala-kash-e-gham-e-geti hai jaan-e-zar abhi

Jaleel Sherkoti

;

bala-kash-e-gham-e-geti hai jaan-e-zar abhi
hayat sar pe uThae hue bar abhi

mili kahan hai tujhe teri rahguzar abhi
hai yan se dur bahut dur ku-e-yar abhi

mah-o-nujum fasurda gul-o-saman giryan
hai kaenat mere gham mein sogwar abhi

kahun to kaise kahun us ko daur-e-adl-o-ata
hai dar-o-gir abhi jabr-o-iKHtiyar abhi

balaen aain sitam par sitam hue lekin
badal saka na zamana mera shiar abhi

sitare Dub gae shamen bujh gain jal kar
khuli hui hai magar chashm-e-intizar abhi

dayar-e-dil mein na jaane hai kab se virani
wa-lek shahr-e-nigaran mein hai bahaar abhi

uTho sanwaro nikhaaro hayat-e-nau baKHsho
urus-e-dahr ki aankhon mein hai KHumar abhi

na nam loge jafaon ka bhul kar bhi 'jalil'
nahin hue ho jafaon se ham-kanar abhi