اردو हिंदी
Bala jaane kisi ki hijr mein is dil pe kya guzri | Shaahi Shayari
bala jaane kisi ki hijr mein is dil pe kya guzri

Ghazal

Bala jaane kisi ki hijr mein is dil pe kya guzri

Shaghil Qadri

;

bala jaane kisi ki hijr mein is dil pe kya guzri
kare sayyaad kyun parwa kisi bismil pe kya guzri

nisar-e-shama ho jaana to parwane ki fitrat hai
na puchho KHak hone se mere mahfil pe kya guzri

shabistan-e-musarrat mein jo mahw-e-aish-o-ishrat hain
unhen is ka pata kya rahraw-e-manzil pe kya guzri

junun-e-qais par hanste to hain aql-o-KHirad wale
kise malum hai KHud laili-e-mahmil pe kya guzri

use ai kash ye malum ho jae kisi surat
ki us ki be-ruKHi se 'qadri' ke dil pe kya guzri