baKHshish hai teri hath mein duniya liye hue
main chup khaDa hun dida-e-bina liye hue
sahra ko kya KHabar ki hai har zarra-e-haqir
muTThi mein apni qismat-e-sahra liye hue
us sham se Daro jo sitaron ki chhanw mein
aati ho ek hasin andhera liye hue
ai waqt ek nigah ki kab se khaDe hain hum
aaina-e-tasawwur-e-farda liye hue
guzra tha is dayar se suraj ka ek safir
har naqsh-e-pa mein ek yad-e-baiza liye hue
aaya ye kaun saya-e-zulf-e-daraaz mein
peshani-e-sahar ka ujala liye hue
lai thi be-KHudi jise is dar pe wo 'jamil'
jata hai ab KHudi ka janaza liye hue
Ghazal
BaKHshish hai teri hath mein duniya liye hue
Jameel Mazhari