اردو हिंदी
BaKHsh de kuchh to etibar mujhe | Shaahi Shayari
baKHsh de kuchh to etibar mujhe

Ghazal

BaKHsh de kuchh to etibar mujhe

Majeed Akhtar

;

baKHsh de kuchh to e'tibar mujhe
pyar se dekh chashm-e-yar mujhe

raat bhi chand bhi samundar bhi
mil gae kitne gham-gusar mujhe

raushni aur kuchh baDha jaun
soz-e-gham aur bhi nikhaar mujhe

kuchh hi din mein bahaar aa jati
aur karna tha intizar mujhe

dekh duniya ye paintare na badal
dekh shishe mein mat utar mujhe

aaine mein nazar nahin aata
apna chehra kabhi-kabhaar mujhe

kis qadar shoKH ho ke takta tha
raat band-e-qaba-e-yar mujhe

dekh main saat-e-masarrat hun
itni ujlat se mat guzar mujhe

markab-e-KHak par sawar hun main
dekh ai shahr-e-zar-nigar mujhe

rizq-e-maqsum kha ke jina tha
kha gai fikr-e-rozgar mujhe