baja ki lutf hai duniya mein shor karne ka
nasha kuchh aur hai gum-nam maut marne ka
abas hai zoam samundar ke par utarne ka
ye silsila hai faqat Dubne ubharne ka
ajab saman tha ki tazlil bhi thi kaif-angez
wo mera waqt teri siDhiyan utarne ka
kafan mein panw hilen pairahan mein lash chale
hamara ahd na jine ka hai na marne ka
ye aagahi ka maraz la-ilaj hai baba
buKHar utarne ka hai ye na zaKHm bharne ka
yahi wo saat-e-fan jis mein aap hon na muKHil
yahi hai waqt magar hum se baat karne ka
sabhi ne pyar se sarf-e-nazar kiya hum ko
na aaya 'saz' tariqa hamein akharne ka
Ghazal
Baja ki lutf hai duniya mein shor karne ka
Abdul Ahad Saaz