bahut zi-fahm hain duniya ko lekin kam samajhte hain!
ajab qissa hai sab kuchh jaan kar mubham samajhte hain
hawaen tez-tar hain aaj baadal aane wale hain
taDapte sard jhonkon ko bhi sab mausam samajhte hain
zamin karwaT badalti hai nae rangon mein Dhalti hai
nujumi kis tarah duniya ke pech-o-KHam samajhte hain
falak ghaeb hua ye chand tare KHak-dan se hain
inhen bhi log ek duniya naya aalam samajhte hain
bahut dana-e-raaz aae hazaron nukta-dan aae
samajhne ke liye wo zindagi ko gham samajhte hain
hui taKHliq kaise aaj tak koi nahin samjha
nikale kab gae ye hazrat aadam samajhte hain
na koi ashk-shoi hai na chehra zard hai 'baqar'
hamari KHamushi ko phir bhi wo matam samajhte hain
Ghazal
Bahut zi-fahm hain duniya ko lekin kam samajhte hain!
Baqar Mehdi