اردو हिंदी
Bahut tha naz jin par hum unhin rishton pe hanste hain | Shaahi Shayari
bahut tha naz jin par hum unhin rishton pe hanste hain

Ghazal

Bahut tha naz jin par hum unhin rishton pe hanste hain

Kaleem Haider Sharar

;

bahut tha naz jin par hum unhin rishton pe hanste hain
hamin kya rasm-e-duniya hai ki sab apnon pe hanste hain

hum aise log diwaron pe hansne ke nahin qail
magar jab ji mein aata hai to darwazon pe hanste hain

diwana kar gaya aaKHir hamein farzana-pan apna
ki jin logon ko rona tha hum un logon pe hanste hain

ab is ko zindagi kahiye ki ahd-e-be-hisi kahiye
gharon mein log rote hain magar raston pe hanste hain

yahan apna paraya kuchh nahin KHushbu pe mat jao
galon mein paDne wale phul guldaston pe hanste hain

samajhne wale kya kya kuchh samajhte hain 'sharar'-sahab
rag-e-mani phaDakti hai to hum lafzon pe hanste hain