اردو हिंदी
Bahut talKH hain zindagi ke fasane | Shaahi Shayari
bahut talKH hain zindagi ke fasane

Ghazal

Bahut talKH hain zindagi ke fasane

makeen Ahsan Kaleem

;

bahut talKH hain zindagi ke fasane
mere KHwab hain phir bhi kitne suhane

sahaara na deti agar mauj-e-tufan
Dubo hi diya tha hamein na-KHuda ne

sahar ko to aana hai aa kar rahegi
kaTe kaise lekin ye shab kaun jaane

giri aur girti rahi barq-e-sozan
bane aur bante rahe aashiyane

sitaron se aage bahut kuchh hai mana
zamin par bhi jine ke hon kuchh bahane

'kalim' aaj kya soch kar ho gae chup
are aa gae yaad kab ke zamane