bahut socha kiye kya zindagi hai
faqat ek dhund mein aawargi hai
tabiat mein jo ye shaistagi hai
tumhaare nam se wabastagi hai
kureda baad barson ke to dekha
mere zaKHmon mein ab bhi tazgi hai
kisi ke sath hun aise azal se
samundar sath jaise tishnagi hai
mere KHwabon mein apna ghar bana lo
nagar mein ab kahan pakizgi hai
koi mausam na laega sawera
tumhaare zehn mein gar tirgi hai
Ghazal
Bahut socha kiye kya zindagi hai
Neena Sahar