bahut mushkil hai pas-e-lazzat-e-dard-e-jigar karna
kisi se ishq karna aur wo bhi umar bhar karna
sar-e-mahfil tera wo pursish-e-zaKHm-e-jigar karna
meri jaanib ba-mushkil ek nazar karna magar karna
musallam ho gai hai be-iKHtiyari jazb-e-baatin ki
mohabbat us se karna jis se nafrat is qadar karna
yahan baal-o-pari bhi ek surat hai asiri ki
asir-e-baal-o-par ho kar ghurur-e-baal-o-par karna
tujhe haq hai ki tu parda uThae ru-e-raushan se
ki tere husn ko aata hai tahzib-e-nazar karna
baDha kar hath tare aasman se kaun toDega
'jamil' ek kar-e-na-mumkin hai taqlid-e-qamar karna
Ghazal
Bahut mushkil hai pas-e-lazzat-e-dard-e-jigar karna
Jameel Mazhari