bahut mazbut logon ko bhi ghurbat toD deti hai
ana ke sab hisaron ko zarurat toD deti hai
jhukaya ja nahin sakta jinhen jabr-o-adawat se
unhen bhi ek ishaare mein mohabbat toD deti hai
kisi ke samne jab hath phailati hai majburi
to us majbur ko andar se ghairat toD deti hai
taras khate hain jab apne sisak uThti hai KHuddari
har ek KHuddar insan ko inayat toD deti hai
samundar par ja kar jo bahut KHush-haal dikhte hain
ye un ke dil se puchho kaise hijrat toD deti hai
nibhana dil ke rishton ko nahin hai khel bachchon ka
ki in shishon ko ek halki si ghaflat toD deti hai
Ghazal
Bahut mazbut logon ko bhi ghurbat toD deti hai
Javed Naseemi