bahut malul baDe shadman gae hue hain
hum aaj ham-rah-e-gum-gashtagan gae hue hain
agarche aae huon hi ke sath hain hum bhi
magar gae huon ke darmiyan gae hue hain
nazar to aate hain kamron mein chalte-phirte magar
ye ghar ke log na jaane kahan gae hue hain
sahar ko hum se milo go ki shab mein bhi hain yahin
ye koi Thik nahin kab kahan gae hue hain
kahin se lauT ke qisse sunaenge tum ko
kahin sunane ko hum dastan gae hue hain
talashiye phir inhin mein tarashiye phir inhen
yahi wasile ki jo raegan gae hote hain
abhi tayyun-e-sath-e-kalam kya puchho
abhi to hum tah-e-ijz-e-bayan gae hue hain
baja ki raaz ki baaten bataenge tumhein 'saz'
magar sambhal hi ke sunna miyan gae hue hain
Ghazal
Bahut malul baDe shadman gae hue hain
Abdul Ahad Saaz