bahut KHuddar hai ghuTnon ke bal chal kar nahin aata
wo likhta hai bahut achchha magar chhap kar nahin aata
mohabbat KHalwat-e-dil mein utar jati hai chupke se
ye aisa hai maraz yaro kabhi kah kar nahin aata
raza us ki bahati hai to patton ko kinara hai
magar KHud tairta hai aadmi bah kar nahin aata
jo us ke dil mein aata hai wahi kahta hai mahfil mein
kabhi likh kar nahin lata kabhi paDh kar nahin aata
baDe logon se milta hai bahut mashhur duniya mein
wo aisa shaKHs ki ilzam bhi us par nahin aata
faqat qabil hua to kya bahut kafi nahin itna
sifarish ke liye wo kyun use mil kar nahin aata

Ghazal
Bahut KHuddar hai ghuTnon ke bal chal kar nahin aata
Sudesh Kumar Mehr