اردو हिंदी
Bahut jabin-o-ruKH-o-lab bahut qad-o-gesu | Shaahi Shayari
bahut jabin-o-ruKH-o-lab bahut qad-o-gesu

Ghazal

Bahut jabin-o-ruKH-o-lab bahut qad-o-gesu

Tabish Dehlvi

;

bahut jabin-o-ruKH-o-lab bahut qad-o-gesu
talab hai shart-e-sukun ke hazar-ha pahlu

jo be-KHudi hai salamat to mil hi jaega
bara-e-fursat-e-andesha yar ka zanu

hazar dasht-e-bala halqa-e-asar mein hain
mera junun hai ki chashm-e-ghazal ka jadu

ye raaz khol diya teri kam-nigahi ne
sukun ki ek nazar dard ke bahut pahlu

saba hazar kare bu-e-gul ki aamezish
na dab sakegi tere jism-e-naz ki KHushbu

ek iztirab-e-hasin hai fishaar-e-tangi-e-mai
kanar-e-shauq mein tu hai ki dam mein aahu

bahut hai ahl-e-basirat ko ek jalwa bhi
wafur-e-tishna-labi ho agar to KHam hai subu

junun aur ahl-e-junun ka wo qaht hai 'tabish'
uTha na dasht se phir koi nara-e-yahu