bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai
meri tarah ye udasi bhi ghar ka hissa hai
phir is ke baad hawa aur us ka rahm o karam
abhi talak to ye patta shajar ka hissa hai
zarur dil se koi rabta hai aankhon ka
isi liye to lahu chashm-e-tar ka hissa hai
ye tera taj nahin hai hamari pagDi hai
ye sar ke sath hi utregi sar ka hissa hai
na jaane 'shad' teri kab samajh mein aaega
ki ab zamir-faroshi hunar ka hissa hai
Ghazal
Bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai
Khushbir Singh Shaad