bahut be-kar mausam hai magar kuchh kaam karna hai
ki taza zaKHm milne tak purana zaKHm bharna hai
abhi sada waraq par nam tera likh ke baiTha hun
abhi is mein mahak aani hai titli ne utarna hai
baDhe jo habs to shaKHen hila dena ki ab hum ko
hawa ke sath jina hai hawa ke sath marna hai
mabaada us ko diqqat ho nishane tak pahunchne mein
so main ne phul se diwar ke raKHne ko bharna hai
yahi ek shaghl rakhna hai aziyyat ke dinon mein bhi
kisi ko bhul jaana hai kisi ko yaad karna hai
koi chehra na ban paya muqaddar ki lakiron se
so ab apni hatheli mein mujhe KHud rang bharna hai
koi rasta mile kyunkar mere pa-e-KHajalat ko
yahan to panw dharna bhi koi ilzam dharna hai
wo har lamha dua dete hain lambi umr ki 'tabish'
mujhe lagta hai pyaron ko bhi ruKHsat main ne karna hai
Ghazal
Bahut be-kar mausam hai magar kuchh kaam karna hai
Abbas Tabish