bahta aansu ek jhalak mein kitne rup dikhaega
aankh se ho kar gal bhigo kar miTTi mein mil jaega
bhulne wale! waqt ke aiwanon mein kaun Thaharta hai
biti sham ke darwaze par kis ko bulane aaega
aankh-micholi khel raha hai ek badli se ek tara
phir badli ki yurish hogi phir tara chhup jaega
andhiyare ke ghor-nagar mein ek kiran aabaad hui
kis ko KHabar hai pahla jhonka kitne phul khilaega
phir ek lamha aan ruka hai waqt ke sune sahra mein
pal bhar apni chhab dikhla kar lamhon mein mil jaega
Ghazal
Bahta aansu ek jhalak mein kitne rup dikhaega
Ahmad Mushtaq