bahr-e-gham mein dil ka qarina
lakhon maujen ek safina
TuTa hai dil shaq hai sina
dekh kar us zalim ka qarina
bhig gai duniya-e-mohabbat
aaya tha kuchh mujh ko pasina
shaKHen phuTin kaliyan chaTkin
aa pahuncha phagun ka mahina
haal bhi mera aap na puchhen
itni ranjish itna kina
mar jaana takmil-e-wafa mein
hai mearaj ka pahla zina
meri gardan tera KHanjar
teri barchhi mera sina
barq bala ya barq ada ho
donon ka hai ek qarina
kya ho sukun ai bahr-e-mohabbat
sahil se hai dur safina
jalta hun teri mahfil mein
jannat mein dozaKH ka qarina
hijr ka aalam yaad hai mujh ko
ek ek din ek ek mahina
maut ki saKHti main ne samjhi
mathe par nikla jo pasina
shama ke dam se bazm munawwar
kahne ko mehman-e-shabina
koi jabir koi sabir
ek mera ek un ka qarina
hil jao bhi khul khelo bhi
achchha din achchha hai mahina
unhen mere dil se umangen
gharq kiya maujon ne safina
dil ko fughan pahunchae falak tak
nichi chhat hai uncha zina
phir uTha tufan-e-mohabbat
'nuh' karen tayyar safina
Ghazal
Bahr-e-gham mein dil ka qarina
Nooh Narvi