bahaar aai hai phir pairahan gulabi ho
wo chand aae sar-e-anjuman gulabi ho
siyah raat si chhai wo zulf chehre par
jabin-e-naz gulabi badan gulabi ho
khulen jo band-e-qaba raat jagmaga uTThe
mahakti sej shikan-dar-shikan gulabi ho
hawa ki larzishen dahkatin aariz-o-lab ko
haya ki mauj se sara badan gulabi ho
wo honT chup hon to aankhon mein phul se jhamken
hilen to sari faza-e-suKHan gulabi ho
gulal is tarah barsae koi chaar taraf
chaman gulabi hawa-e-chaman gulabi ho
siyahi-e-shab-e-hijran siyah-tar na karo
jo ho to chand ka mere gahan gulabi ho
watan se dur bahaaron ko khojne wale
jo in dinon mein zamin-e-watan gulabi ho

Ghazal
Bahaar aai hai phir pairahan gulabi ho
Safdar Meer