bahaar aai hai aaraish-e-chaman ke liye
meri bhi taba ko tahrik hai suKHan ke liye
KHayal tak na kiya ahl-e-anjuman ne kabhi
tamam raat jali shama anjuman ke liye
watan mein aankh churaate hain hum se ahl-e-watan
taDapte rahte hain ghurbat mein hum watan ke liye
chaman ke dam se jaenge hum kahan sayyaad
qafas fuzul hai parwarda-e-chaman ke liye
main qaid-e-ashk se aazad hun mohabbat mein
ki tujh ko shama banana hai anjuman ke liye
zaban-e-ahl-e-basirat pe arz hairat hai
sukut dad hai goya mere suKHan ke liye
farogh-e-tab-e-KHuda-dad garche tha 'wahshat'
riyaz kam na kiya hum ne kasb-e-fan ke liye
Ghazal
Bahaar aai hai aaraish-e-chaman ke liye
Wahshat Raza Ali Kalkatvi