bahaar aai gulon ko hansi nahin aai
kahin se bu teri guftar ki nahin aai
kuchh aur wajah hai kam ho gai hai lazzat-e-jam
hamari pyas mein koi kami nahin aai
ye kaenat sab aaghosh-e-nim-shab mein hai
zamana ho gaya aawaz hi nahin aai
dil ek daraKHt-e-zamin-bos baad o baran se
ruten guzar gain konpal nai nahin aai
na jaane kaisi ghaDi se guzar rahe the hum
ki jagte na rahe nind bhi nahin aai
Ghazal
Bahaar aai gulon ko hansi nahin aai
Kalidas Gupta Raza