bah raha tha ek dariya KHwab mein
rah gaya main phir bhi tishna KHwab mein
ji raha hun aur duniya mein magar
dekhta hun aur duniya KHwab mein
is zamin par tu nazar aata nahin
bas gaya hai jo sarapa KHwab mein
rose aata hai mera gham banTne
aasman se ek sitara KHwab mein
muddaton se dil hai us ka muntazir
koi wada kar gaya tha KHwab mein
kya yaqin aa jaega us shaKHs ko
us ki babat jo bhi dekha KHwab mein
ek basti hai jahan KHush hain sabhi
dekh leta hun main kya kya KHwab mein
asl duniya mein tamashe kam hain kya
kyun nazar aae tamasha KHwab mein
khol kar aankhen pasheman hun bahut
kho gaya jo kuchh mila tha KHwab mein
kya hua hai mujh ko 'alam' in dinon
main ghazal kahta nahin tha KHwab mein
Ghazal
Bah raha tha ek dariya KHwab mein
Alam Khursheed