baghaur dekh raha hai ada-shanas mujhe
bas ab zalil na kar ai nigah-e-yas mujhe
ye dil hai shauq mein be-KHud wo aankh nashshe mein chur
jhuka na de su-e-saghar bhaDakti pyas mujhe
udhar malamat-e-duniya idhar malamat-e-nafs
baDa azab hai aae hue hawas mujhe
palaT do baat na lo munh se nam ruKHsat ka
abhi se ghar nazar aane laga udas mujhe
jo multafit hain ye nazren badal bhi sakti hain
bana chuka hai zamana ada-shanas mujhe
Ghazal
Baghaur dekh raha hai ada-shanas mujhe
Arzoo Lakhnavi