badle hue haalat se mayus na hona
insan ke jazbaat se mayus na hona
ye raat usi ki hai sahar bhi hai usi ki
is dard-bhari raat se mayus na hona
har dil se udasi ka bharam toDte rahna
mayus KHayalat se mayus na hona
mana ki bahut aag hai mahaul mein lekin
is mulk ki barsat se mayus na hona
duniya se bahut aas lagana nahin ai dost
duniya ki kisi baat se mayus na hona
kuchh log zara der mein khulte hain kisi se
pahli hi mulaqat se mayus na hona
aawara sawalat ki manzil bhi hai 'waqif'
duniya ke jawabaat se mayus na hona
Ghazal
Badle hue haalat se mayus na hona
Waqif rae Barelvi