اردو हिंदी
BaDi sard raat thi kal magar baDi aanch thi baDa taw tha | Shaahi Shayari
baDi sard raat thi kal magar baDi aanch thi baDa taw tha

Ghazal

BaDi sard raat thi kal magar baDi aanch thi baDa taw tha

Shamim Abbas

;

baDi sard raat thi kal magar baDi aanch thi baDa taw tha
sabhi tapte rahe raat bhar tera zikr kya tha alaw tha

---
---

wo zaban pe tale paDe hue wo sabhi ke dide phaTe hue
baha le gaya jo tamam ko meri guftugu ka bahao tha

---
---

kabhi mai-kada kabhi but-kada kabhi kaba to kabhi KHanqah
ye teri talab ka junun tha mujhe kab kisi se lagaw tha

At times taverns, temples times, mosques and times, monasteries
`twas frenzy of my search for you, else when was I attached to these.

chalo mana sab ko teri talab chalo mana sare hain jaan ba-lab
pa tere maraz mein yun mubtala kahin hum sa koi batao tha

---
---

ye mubahise ye munazare ye fasad-e-KHalq ye intishaar
jise din kahte hain din-dar meri ruh par wahi ghaw tha

mujhe kya junun tha kya pata jo jahan ko raundta yun phira
kahin Tik ke main ne jo dam liya teri zat hi wo paDaw tha