baDh gain gustaKHiyan meri saza ke sath sath
pyar aata hai teri jaur-o-jafa ke sath sath
zoaf se rah-e-mohabbat mein qadam uThte nahin
panw jamte hain zamin par naqsh-e-pa ke sath sath
chhuT kar kunj-e-qafas se nikhat-e-gul ki tarah
hum bhi uD kar jaenge baad-e-saba ke sath sath
sard aahon se phunka jata hai sine mein jigar
aatish-e-gham tez hoti hai hawa ke sath sath
mere aansu bhi bahe josh-e-mohabbat mein 'aziz'
mere nale bhi rahe meri dua ke sath sath
Ghazal
BaDh gain gustaKHiyan meri saza ke sath sath
Aziz Hyderabadi