badan simTa hua aur dasht-e-jaan phaila hua hai
so ta-hadd-e-nazar wahm o guman phaila hua hai
hamare panw se koi zamin lipTi hui hai
hamare sar pe koi aasman phaila hua hai
ye kaisi KHamushi mere lahu mein sarsarai
ye kaisa shor dil ke darmiyan phaila hua hai
tumhaari aag mein KHud ko jalaya tha jo ek shab
abhi tak mere kamre mein dhuan phaila hua hai
hisar-e-zat se koi mujhe bhi to chhuDae
makan mein qaid hun aur la-makan phaila hua hai
Ghazal
Badan simTa hua aur dasht-e-jaan phaila hua hai
Salim Saleem