badan mein ruh ki tarsil karne wale log
badal gae mujhe tabdil karne wale log
abad talak ke manazir sameT lete hain
zara si aankh ko zambil karne wale log
tumhi batao tumhein chhoD kar kidhar jaen
tumhaari baat ki tamil karne wale log
kise bataen ki shaKH-e-salib kaun si hai
ye pat pat ko injil karne wale log
zamin pe aae the kar-e-payambari ke liye
zamin supurd-e-azazil karne wale log
andheri raat hai KHeme mein ek diya bhi nahin
kahan hain sabr ko qindil karne wale log
ubur kar ke ise ho gae kahan aabaad
hayat rahguzar-e-nil karne wale log
hum apne ishq se duniya badalna chahte hain
magar ye ishq ki tazlil karne wale log
Ghazal
Badan mein ruh ki tarsil karne wale log
Tauqeer Taqi