اردو हिंदी
Badan ko zaKHm karen KHak ko labaada karen | Shaahi Shayari
badan ko zaKHm karen KHak ko labaada karen

Ghazal

Badan ko zaKHm karen KHak ko labaada karen

Manzoor Hashmi

;

badan ko zaKHm karen KHak ko labaada karen
junun ki bhuli hui rasm ka iada karen

tamam agle zamanon ko ye ijazat hai
hamare ahd-e-guzishta se istifada karen

unhen agar meri wahshat ko aazmana hai
zamin ko saKHt karen dasht ko kushada karen

chalo lahu bhi charaghon ki nazr kar denge
ye shart hai ki wo phir raushni ziyaada karen

suna hai sachchi ho niyat to rah khulti hai
chalo safar na karen kam se kam irada karen