badan ke diwar-o-dar mein ek shai si mar gai hai
ajib KHushbu udasiyon ki bikhar gai hai
jagao mat riste KHwabon ki rat-jagi thakan ko
ki dhup dalan se kabhi ki utar gai hai
fasil-e-sar ko bachae rakhta hai wo abhi tak
zamin ki pasti to reshe reshe mein bhar gai hai
na TuT kar itna hum ko chaho ki ro paDen hum
dabi dabai si choT ek ek ubhar gai hai
wo raat jis mein zawal-e-jaan ka KHatar nahin tha
wo raat gahre samundaron mein utar gai hai
Ghazal
Badan ke diwar-o-dar mein ek shai si mar gai hai
Musavvir Sabzwari