badan-darida-o-be-barg-o-bar hona bhi
mere hi waste phir sharmsar hona bhi
nazar uThaun main jab jab bhi dasht-e-shab dekhun
ajib shai hai sahar ka shikar hona bhi
tariq sare guman ke qadam se lipTe hain
ki mere sar hai haqiqat-nisar hona bhi
mere hi nam pe manzil-rasi ye Thahri hai
mere liye hi magar pa-figar hona bhi
main us zamin ka waris hun 'shah' ye bhi hai
mere nasib mein hijrat-shiar hona bhi
Ghazal
Badan-darida-o-be-barg-o-bar hona bhi
Shah Husain Nahri